Friday, July 15, 2011

Raastey...


Zindagi vo raasta hai,
jiska koi aant nahin,
safar mein manzilein toh bohot hain-
par raastey ka aant nahin,

Jo is safar par aya hai,
wo inhi raaston par chal ke jayega,
koi in raahon ko -
toh koi raasta inhe bhool jayega,

Yaad rahega toh woh,
jo poori shiddat se-
in raahon pe chalta jayega,
raahon se nikalengi raahein,
raahon mein raasta mil jayega,

Aap ruk bhi gaye toh kya ??
yeh raasta hai,
chalta hi jayega.....

No comments:

Post a Comment