So mujhe mere He and She bhi mil gaye - Rohit and Saumya .... aur aaj unki kahaani shuru bhi hogi .. "All about You n' Me" ..... par saach mein in dono ki story kab shuru hogi yeh toh padh ke hi pata chalega... In dono ki story koi DDLJ type kahani nahin .... yeh story hai ek simple ladki ki ...jo sapney dekti hai... aur ek ladke ki jo usey pasand karta hai... so without much ado here's the beginning-
Am Regularly updating chapters ... keep track!
"All between You and ME - A story of a girl who dreams and a boy who loves !"
CHAPTER 1
(Saumya's version- )
Ek week baad college shuru hone wale hain ..... naya college, first day.. its like the fist step to my new life ...shayad mummy bhi samajh gayi thi- how big is this for me.. tabhi toh aaj pehli baar khud se bola - "shopping nahin karni hai kya?? ... ya college mein bhi yehi school time ka wardrobe rakhegi..." ... main hadbada kar uth gayi... samajh hi nahin aya tha ki mummy kya bol rahi hain ... mummy wahin khadi mujhe dekti rahi aur fir haas ke boli .... dono friends ek si ho ... ab ja Ridhima ke saath aur kuch dhaang ki shopping karke aa" .. aur aisa kehte hue wo room se bahar chaali gayi ...
pehle toh main yun hi sochti rahi ki mummy ko aaj kya ho gaya ... par fir meri nazar tym pe padi .... agar abhi ghar se nahin nikali toh ho gayi shopping ..aur late ho gayi toh ulte lene ke dene pad jayeinge !
Maine fatafat phone uthatya aur apni ghumakkad Ridhima ko phone lagaya ... "Chal ghumne" sun kar hi usney haan kar di ... yeh bhi nahin poocha kahan..heheheee... waise ab tak toh koi bhi samajh jayega ki wo meri 'ghumakkad' Ridhima kyun hai..!
Poori shopping toh kar hi li thi maine shaam tak and thoda time bhi bach gaya tha ... toh Ridhi aur main .. pahunch gaye apney chaat wale ke pass .. golgappa ya Ridhi ka "PUCHKA" :P competition karney...
Mujhe purane, nahin purane nahin .. aaj ke time ke hisaab se "Antique songs" bahut pasand hai- Par yeh baat chaat wale ko toh pata nahin ho sakti na??... :P fir bhi aaj meri pasand ke songs chala rakhey the usney ... par aaj un songs ke ilava bhi kuch alag tha wahan...
Main aur Ridhi 2-2 plate toh kha hi chuke the par itni jaldi haar kaun maney ??... Ek ladka samne wali road pe bahut deer se khada tha... ya toh kisi ka intezaar kar raha tha.. ya fir hoga koi mawali type ladki chedne ki firaak mein ... par kaun dhyaan de ek ajnaabi pe yeh soch ke maine dusri side nazar ghuma li... fir socha kaafi deer ho gayi hai ..ab tak toh ja hi chuka hoga ... palat ke dekha toh wo ab bhi wahin khada tha.... Pata nahin kya kaam hoga bechare ko jo itni deer se akela khada hai???..... tabhi wahan song play hua "MUGHAL-E-AZAM" ka Jab Pyaar kiya toh darna kya... aur uske lyrics mein main aisa kho gayi - Insaan kisi se duniyaa me ek baar mohabbat kartaa hai ...Is dard ko lekar jiitaa hai, Is dard ko lekar martaa hai ... ki uschaat ke teez teekhe-khatte paani se mujhe khaasi aa gyi ! ... 2minute nahin hue ki main sambhal paati .. utne mein road pe shor sunayi diya... log road par ek-dum beech mein kisi ko gher kar khade the .. maan kiya ek baar dekh aun- kisi ko shayad maddad chahiye ho ...par itni bheed dekh kar maine yeh khayal chod diya...
Ridhi ne wahan se chalne ki baat kahi .. toh rukne ki koi wajah mujhe bhi nahin dikhi ... jaatey jaatey maine palat ke dekha .. par wo ajnaabi jo itni deer se road pe akela khada kahin nazar nahin aya... shayad iss bheed mein kahin gum gaya...
Saumya..
Am Regularly updating chapters ... keep track!

No comments:
Post a Comment